Skip to main content

main khudd zamee’n hoo’n magar zarf asman ka hai

main khudd zamee’n hoo’n magar zarf asman ka hai
k toot karr bhi mera hausla chattan ka hai

bura na maan merey harf zehr zehr sahii
main kya karoo’n k yahi zaayeqa zabaan ka hai

bichharhte waqt se mai ab talak nahii roya
wo keh gaya tha yahi waqt imtehaan ka hai

harr aik ghar pe musallat hai dill ki veeraani
tamam shehr pe saya merey makaan ka hai

ye aur baat adalat hai be-khabar warna
tamam shehr mai charcha merey bayaan ka hai

asar dikha na saka uskey dill mai ashk mera
ye teer bhi kisi tutii hui kamaan ka hai

qafas tau khair muqaddar mai tha magar MOHSIN
hawa mai shaur abhi tak meri urrhan ka hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.