Skip to main content

Kabhi jo waqt par jaye,

Kabhi jo waqt par jaye,
Tumhein mujh se bicharna ho,
Tumhein waday se phirna ho,
To beshak dair mat karna,
Mujay naraaz kar dena,
Tum apna rukh badal lena,
Tum apni simt chal dena,
Magar jab lot k ana,
Tumhein mitti k teelay par,
Main shayad na dikhai dun,
Magar heran mat hona,
Wahin do char qadmon par,
Mazaar-e-bekaraan hoga,
Wahan ik phool rakh dena,
Aur ik shama jala dena,
Aur apna rukh badal lena,
Aur apni simt chal dena…

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.