Skip to main content

”Dard ki wardaat hy pyaray

”Dard ki wardaat hy pyaray
dastaan e hayaat hy pyaray
teri aankhon ka bhi kia bharosa
aalam e hadsaat hy pyaray
kon is silsalay ko khatam karay
teri zulfoon ki bat hy pyaray
aankh ki har haseen nadani!
ronq e kainaat hy pyaray
subha e mehsher tuo aa hi jaey gi
raat khatam hony ki bat hy pyaray
zindagi ky sitam ko kaya kahiye
soorat e waaqiat hy pyaray
baat sun le tuo tera bhala ho ga
dardmandon ki bat hy pyaray
mustaqil maut ki tamana hy
arzoo e hayat pyaray
hum addm aur bada paymaai
kehnay sun’ney ki baat hy pyaray”

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng