Yeh Aarzu Hai K Jab Bhi Gale Lagaaon Use

 
 
Yeh Aarzu Hai K Jab Bhi Gale Lagaaon Use
Hisaar-e-Zaat Se Baher Nikaal Laaon Use,

Woh Jal Rahaa Tha kari Dhoop ki Tamaazat Mein
Milaa Jo Ab To Urhaa Doongaa Apni Chaaon Use,

... Yeh Ishq Bhi Hai Ajab Imtihaan-e-Ahed-e-Wafaa
Woh Aazamaaye Mujhe Aur Main Aazamaaon Use,

Woh Shaher Shaher Chiraaghaan Sahi Magar Ek Din
Hawaayen Yaad Dilaayengii Apnaa Gaaon Use,

Woh Apne Khawaab Mein Shaayad Mujhi ko Dekhtaa Ho
Main Tashna_Lab Sahi Sote Mein kiyaa Jagaaon Use.