Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha,
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha,
... Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha,
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha,
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha,
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha,
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha,
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha,
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha,
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha,
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha,
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha,
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha,
Main Bhi Thi Dari Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha,
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha,
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha,
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha,
Soocha To Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha,
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha,
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha,
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha,
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha,
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha.
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha,
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha,
... Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha,
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha,
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha,
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha,
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha,
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha,
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha,
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha,
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha,
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha,
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha,
Main Bhi Thi Dari Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha,
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha,
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha,
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha,
Soocha To Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha,
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha,
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha,
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha,
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha,
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha.