Us Ki Jaam-E-Jam Aankhe Shisha-E-Badan Mera
Us Ki Band Mutthi Main Saara Baankpan Mera
Aao Aaj Ham Dono Apna Apna Ghar Chun Le
Tum Tabaah-E-Dil Le Lo Khitta-E-Badan Mera
Main Ne Apne Chehre Pe Sab Hunar Sajaaye The
Faash Kar Gaya Mujh Ko Saada Pairahan Mera
Dil Bhi Kho Gaya Shayad Shahar Ke Surabon Main
Ab Meri Tarah Se Hai Dard Bevatan Mera
Ek Dasht-E-Khamoshi Ab Mera Muqaddar Hai
Yaad Besada Teri Zakhm Bechaman Mera
Roz Apni Aankho Ke Khwab Khun Karta Hoon
Haaye Kin Ganimo Se Aa Pada Hai Ran Mera
Magrabi Hawa Ne Phir Ye Sandesha Bheja Hai
Muntazir Tumhara Hai Khushbuon Ka Ban Mera
Urdu Shayari world 786 is such a website which provide you all kinds of poetry new and old in Indian and Pakistani Collections of poets are available.
-
Silsile tor gaya wo sabhi jate jate Warna itne to marasim thai ke aate jate Shikwa e zulmat e shab se to behtar tha Apne hisay ki koi shama...
-
yaas ke qatl mei'n hai khana kharaabi muzmer, dekh qurb-e- rag-e- gardan hai Thikaana teraa. Author : YAAS BIHARI Qatl ki jab u...
-
Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakh...
