Akhiri Tis Aazmane Ko
Ji To Chaha Tha Muskurane Ko

Yaad Itni Bhi Sakht Jaan To Nahin
Ik Gharaunda Raha Hai Dahaane Ko

Sangrezon Main Dhal Gaye Aansu
Log Hanste Rahe Dikhane Ko

Zakhm-E-Nagma Bhi Lau To Deta Hai
Ik Diya Rah Gaya Jalaane Ko

Jalne Waale To Jal Bujhe Aakhir
Kaun Deta Khabar Zamaane Ko

Kitne Majboor Ho Gaye Honge
Ankahi Baat Munh Pe Laane Ko

Khul Ke Hansna To Sab Ko Aata Hai
Log Taraste Rahe Ik Bahaane Ko

Reza Reza Bikhar Gaya Insaan
Dil Ki Viraniyaan Jatane Ko

Hasraton Ki Panaah Gaahon Main
Kya Thikane Hain Sar Chupane Ko

Haath Kaanton Se Kar Liye Zakhmi
Phool Baalon Main Ik Sajaane Ko

Aas Ki Baat Ho Ki Saans ‘Ada’
Ye Khilone Hain Toot Jaane Ko