Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2022

guzre jo apne yāroñ kī sohbat meñ chaar din

  guzre jo apne yāroñ kī sohbat meñ chaar din  aisā lagā basar hue jannat meñ chaar din  umr-e-ḳhizar kī us ko tamannā kabhī na ho  insān jī sake jo mohabbat meñ chaar din  jab tak jiye nibhā.eñge ham un se dostī  apne rahe jo dost musībat meñ chaar din  ai jān-e-ārzū vo qayāmat se kam na the  kaaTe tire baġhair jo ġhurbat meñ chaar din  phir umr bhar kabhī na sukūñ pā sakā ye dil  kaTne the jo bhī kaT ga.e rāhat meñ chaar din  jo faqr meñ surūr hai shāhī meñ vo kahāñ  ham bhī rahe haiñ nashsha-e-daulat meñ chaar din  us aag ne jalā ke ye dil raakh kar diyā  uThte the 'josh' sho.ale jo vahshat meñ chaar din

aankh ki rah se bujhte hue lamhe utre

  aankh ki rah se bujhte hue lamhe utre aqraba jitne the kashti ke wo sare utre   us se kahte ho ki phir lauTna hoga chhat par sans ki lai ko jo thame hue zine utre   chha gai bachchon ke chehre pe nai hariyali aaj phir peDon se aangan mein parinde utre   log sahil pe tamashai bane baiThe rahe bich dariya mein faqat hum hi akele utre   chiKH nikli na koi aah-o-fughan ki main ne yun to sine mein kai tir nukile utre  

zulmat hī pahle thī jo havāle meñ rah gai

  zulmat hī pahle thī jo havāle meñ rah gai  tasvīr-e-kā.enāt ujāle meñ rah gai āñkhoñ kī hī sharāb thī tauba-shikan zarūr  kuchh aur bhī mai kī tarah pyāle meñ rah gai   kartī hai maut jaise ta.āqub hayāt kā  titlī girī fazā se to jaale meñ rah gai   bad-mazgī-e-sulūk kā gahrā asar huā  ik kañkarī sī mere nivāle meñ rah gai  

‏نہ آنا میری قبر پہ ہمراہِ رقیباں

 ‏نہ آنا میری قبر پہ ہمراہِ رقیباں           مُردوں کو مسلمان جلایا نہیں کرتے