Skip to main content

aaj yāroñ ko mubārak ho ki sub.h-e-īd hai

 aaj yāroñ ko mubārak ho ki sub.h-e-īd hai 

raag hai mai hai chaman hai dilrubā hai diid hai 


dil divāna ho gayā hai dekh ye sub.h-e-bahār 

rasmasā phūloñ basā aayā añkhoñ meñ niiñd hai 


sher āshiq aaj ke din kyuuñ raqībāñ pe na hoñ 

yaar paayā hai baġhal meñ ḳhāna-e-ḳhurshīd hai 


ġham ke pīchho raast kahte haiñ ki shādī hove hai 

hazrat-e-ramazāñ ga.e tashrīf le ab iid hai 


iid ke din rovtā hai hijr siiñ ramzān ke 

be-nasīb us shaiḳh kī dekho ajab fahmīd hai 


silk us kī nazm kā kyūñkar na hove qīmtī 

'ābrū' kā sher jo dekhā so marvārīd hai 

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng