Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2018

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Hazaron Mausamon...

Maa Mera Qasoor Nahi Tha

Maa Mera Qasoor Nahi Tha Ek Uncle Se Toffee Li Thi Hath Mere Jo Sar Par Phera Mai Samjhi Insan Hi Hoga Uski Bhi Koi Beti Hogi Shyad Mere Jaisi Hogi Mujhko Ghar Se Door Le Aya Usne Achanak Lehja Badla Moo Mera Jo band Kiya To Phir Mujhe Kuch Maloom Nahi Tha Maa Mera Qasoor Nahi Tha Ek Uncle Se Toffee Li Thi

Usay Khone Se Darta Tha

Usay Khone Se Darta Tha Bohat Rone Se Darta Tha Phir Ek Din Ye Samajh Aaya Ke Roya Un Ko Jata Hai Bichre Jo Muqaddar Se Ke Khoya Unko Jata Hai Jo Hasil Hon Muyassar Hon Jo Danista Bichar Jaye Usay Roya nahi Karte Jisay Paaya Nahi Ab Tak Usay Khoya Nahi Karte

Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat

Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat Jab Kabhi Toot Ke Bikhro Gay To Yaad Aaonga Meri Khushbo Tumhe Kholegi Gulabon Ki Tarah Tum Agar Khud Se Na Bolo Gay To Yaad Aaonga Isi Andaz Mai Hote Thai Mukhatib Mujh Se Khat Kisi Aur Ko Likhogay To Yaad Aaonga Isi Judai Mai Tum Andar Se Bikhar Jaogay Kisi Maazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaonga Humne Khushiyun Ki Tarah Dukh Bhi Ikhattay Dekhe Saf e Zeest Ko Palto Gay To yaad Aaonga Tum Meri Ankh Ke Tewar Na Bhula Pao Gay An Kahi Baat Ko Samjho Gay To Yaad Aaonga

Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay

Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay Hum teri ankh se hijrat nahi krne walay Apne Nazdeek mohabat hai ibadat ki tarha Hum ibadat ki tijarat nahi krne walay Ye alag baat hai k izhaar nahi kar sakte Ye na samjho mohabat nahi karne walay Kaat kar phaink de sar chahe saja naizay par Hum tere haath pe Baiat nahi karne walay Hakim-e-waqt Zara apne Garebaan mein jhank Log Bewajha Baghawat Nahi Karne Walay