Skip to main content

Mere shaha tere aisaab pe tari mai thi

Mere shaha tere aisaab pe tari mai thi
Wo bhi din thai ke teri raj kumari mai thi
Dard kab tha wo tere dil mai junoon tha mera
Ashk kab thai wo teri ankh se jari mai thi
Ye bhi sach hai ke mujhe maar diya hai tune
Ye bhi sach hai ke tujhe jaan se pyari mai thi
Sari dunya ko pata hai ke nahi tum mere
Sari dunya ko pata hai ke tumhari mai thi
Mujh ko dunya ne dil bantna chaha lekin
Jis taraf dil tha udhar sari ki sari mai thi

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.