Skip to main content

KHAMOSHI

Raat bhar bunta raha Khwabon ko main jiske liye
rah gayee khaamosh woh raaton kee raani saamne

Author : Kalim Akhtar


Mere wajood ke andar tha aik hangama
mere wajood ko kyon chaatti hai khaamoshi

Author : Kalim Akhtar



Shor tha, khamoshi thee, wasl tha, judaayee thee
raat kis musibat mein pad gayee parindon kee

Author : Kalim Akhtar


Baahar baahar khaamushi hai, andar-andar hangama
kaisi hai yeh jism kee hiddat, baahar kuchh aur andar kuchh

Author : Kalim Akhtar


Is tarah khaamushi ke jharno mein
aur kabtak nahayegi aawaaz?

Author : Kalim Akhtar


Khamosh rahna hai, ai ahl-e-dard yu'n kab-tak?

Rag-e-guloo mei'n chubhegi ye mauj-e-khu'n kab-tak?
                        
Author : Shahryar


Chup rahu'n aur usay malaal na ho,
Ankahee ka  toh  aisaa haal na ho.
                   Author : Wazir Agha


Ya tau deewaana hanse, ya jis ko tu taufeeq de, 
Warna is duniya mein kya hai muskarane ke lieye
Author : Unknown


Har shab shab-baraat hai, har roz roz-e-Eid, 
Sota hoon haath gardan-e-meena mei�n daal kar
Author : Unknown


Kabhi dekha tha itna Dagh ko khush, 
Chale aate ham yeh hazrat wahin se.
Author : Dagh


Kya sabab shad hai bashaash hai ji aap hi aap,
Chali aati hai mujhe aaj hansi aap hi aap.
Author : Dagh


Inhi_n ghum ki ghataao_n se khushi ka chaand chamkega,

Andheri raat ke pardo_n mei_n din ki roshni bhi hai.

Author : Akhter Sheerani


Falak deta hai jin ko aish, unko ghum bhi hote hain,
Jahan bajte hain naqqare, wahaan maatam bhi hote hain.
Author : Dagh


Ik parda hai ghamon ka jise kahte hain khushi, 
Hum tabassum mein nihaa�n ashk.e-rawan dekhe hain.
Author : Akhter Sheerani



Zikar-e-naal chher kar, aur ghazab kiya nadeem,
Saait-e-aish thi hi kya, aur qaleel ho gai.
Author : Ali Akhtar Akhtar


Gar khaamshi se faaida-e-akhfaa-e-haal hai,
Khush hoon ke meri baat samajhni mahaal hai.
Author : Mirza Ghalib


Ise sayyaad ne kuchh, gul ne kuchh, bulbul ne kuchh samjha,
Chaman mein kitni maani-khez thi ik khaamshi meri.
Author : Jigar


Baat par waan zabaan kat-ti hai,
Woh kahen aur suna kare koi.
Author : Mirza Ghalib


Yeh dastoor-e-zabaa_n bandi hai kaisa teri mehfil mei_n,

Yahaa_n tau baat karne ko tarasti hai zabaa_n meri.

Author : Allama Iqbal


Nahin mannat kash-e-taab-e-shuneedan daastaan meri,
Khamoshi guftagoo hai, be-zabaani hai zaban meri.
Author : Allama Iqbal


Na rahi taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi,
Tau kis umeed pe kahieye ke aarzoo kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng