Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2015

* Mumkin nahiin ki bazm-e-tarab phir sajaa sakuun *

Mumkin nahiin ki bazm-e-tarab phir sajaa sakuun ab ye bhii hai bahut ki tumhen yaad aa sakuun ye kyaa tilism hai ki terii jalvaagaah se nazadiik aa sakuun na kahiin duur jaa sakuun zauq-e-nigaah aur bahaaron ke darmiyaan parde gire hain vo ki na jin ko uthaa sakuun kis tarah kar sako bahaaron ko mutamain ahal-e-chaman jo main bhii chaman men na saakuun terii hasiin fizaa men mere ai naye vatan aisaa bhii hai koii jise apnaa banaa sakuun 'Azad' saaz-e-dil pe hain raqsaan ke zam-zame Khud sun sakuun magar na kisii ko sunaa sakuun

* Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the *

Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the, jis tarah daaman-e-mashriq me.n sahar hotii hai, zarre zarre ko tajallii kii Khabar hotii hai, aur jab nuur kaa sailaab guzar jaataa hai, raat bhar ek andhere me.n basar hotii hai, kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the, jaise gulashan me.n dabe paao.n bahaar aatii hai, pattii pattii ke liye leke nikhaar aatii hai, aur phir vaqt vo aataa hai ke har mauj-e-sabaa, apane daaman me.n liye gard-o-Gubaar aatii hai, kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the , jis tarah mahv-e-safar ho ko_ii viiraane me.n, aur raste me.n kahii.n ko_ii Khiyaabaa.N aa jaaye, chand lamho.n me.n Khiyaabaa.N ke guzar jaane par, saamane phir vohii duniyaa-e-biyaabaa.N aa jaaye, kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the.

Tasavvur

KHAMOSHI

Raat bhar bunta raha Khwabon ko main jiske liye rah gayee khaamosh woh raaton kee raani saamne Author : Kalim Akhtar Mere wajood ke andar tha aik hangama mere wajood ko kyon chaatti hai khaamoshi Author : Kalim Akhtar Shor tha, khamoshi thee, wasl tha, judaayee thee raat kis musibat mein pad gayee parindon kee Author : Kalim Akhtar Baahar baahar khaamushi hai, andar-andar hangama kaisi hai yeh jism kee hiddat, baahar kuchh aur andar kuchh Author : Kalim Akhtar Is tarah khaamushi ke jharno mein aur kabtak nahayegi aawaaz? Author : Kalim Akhtar Khamosh rahna hai, ai ahl-e-dard yu'n kab-tak? Rag-e-guloo mei'n chubhegi ye mauj-e-khu'n kab-tak?                          Author : Shahryar Chup rahu'n aur usay malaal na ho, Ankahee ka  toh  aisaa haal na ho.                     Author : Wazir Agha Ya tau deewaana hanse, ya jis ko tu taufeeq de,  Warna is duniya mein kya hai muskarane ke lieye Author : Unknown Har shab shab-