dil ke dariya ko kisii roz utar jaanaa hai

dil ke dariya ko kisii roz utar jaanaa hai 
itnaa be simt na chal, lauT ke ghar jaanaa hai 

us tak aatii hai to har chiiz Thhahar jaatii hai 
jaise paanaa hii use asl meN mar jaanaa hai 

bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa’ii kyaa hai 
dil ko ruknaa hai ke taaroN meN Thahar jaanaa hai 

kaun ubharte hue mahtaab kaa rastaa roke 
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jaanaa hai 

maiN khilaa huuN to isii Khaak meN milna hai mujhe 
vo to Khushbuu hai, use agle nagar jaanaa hai 

vo tire husn kaa jaaduu ho ke meraa gham-e-dil 
har musaafir ko isii ghaaT utar jaanaa hai