Garebaan Poetry

Na lar naasih se Ghalib, kya hua gar us ne shiddat ki,
Hamara bhi tau aakhir zor chalta hai gareban par
Author : Mirza Ghalib


Haif us char girah kapre ki qismat, Ghalib,
Jiski qismat mein ho aashiq ka garebaan hona.
Author : Mirza Ghalib


Junoon ki dastgeeri kis se ho gar ho na uriaani,
Garebaan chaak ka haq ho gaya hai meri gardan par.
Author : Mirza Ghalib


Yoon pukaare hain mujhe koocha-e-jaanaan waale:
idhar aa be, abe, 0 chaak garebaan waale.
Author : Mir Taqi Mir


Sau baar tera daaman  mein mere aaya,
Jab aankh khuli dekha, apna hi garebaan tha.
Author : Asgher Gondvi


Khuda sharmaaeye haathon ko ke rakhta hain kashakash mein,
Kabhi mere garebaan ko, kabhi jaanaan ke daaman ko.
Author : Mirza Ghalib


Un ne kheincha hai mere haath se daamaan apna, 
Kya karoon gar na karoon chaak garebaan apna.
Author : Mir Taqi Mir