Kisii ne jo dil kii kahaanii sunaaii
tumhaarii muhabbat bahut yaad aaii
chaman mein jo koii kalii muskaaii
tumhaarii muhabbat bahut yaad aaii
kahiien koii Khushbu kaa jhonkaa jo aayaa
to aisaa lagaa jaise tum aa gaye ho
har aahat tumhaaraa hii paighaam laaye
tumhaarii muhabbat bahut yaad aaii
meraa ek pal aaj kal ek sadii hai
kahaan vo mausam suhaane suhaane
kahaan pyaarii pyaarii tumhaarii vo baatein
meree jaan lene lagii hai judaaii
bataao kahaan aake tum ko pukaarein
nazar har taraf bas tumhein Dhuundhatii hai
chale aao viiraan raahein sajaa do
merii har tamannaa javaan ho rahii hai
milo tum to mil jaaye saarii Khudaaii
tumharii muhabbat bahut yaad aaii
tumhaarii muhabbat bahut yaad aaii
chaman mein jo koii kalii muskaaii
tumhaarii muhabbat bahut yaad aaii
kahiien koii Khushbu kaa jhonkaa jo aayaa
to aisaa lagaa jaise tum aa gaye ho
har aahat tumhaaraa hii paighaam laaye
tumhaarii muhabbat bahut yaad aaii
meraa ek pal aaj kal ek sadii hai
kahaan vo mausam suhaane suhaane
kahaan pyaarii pyaarii tumhaarii vo baatein
meree jaan lene lagii hai judaaii
bataao kahaan aake tum ko pukaarein
nazar har taraf bas tumhein Dhuundhatii hai
chale aao viiraan raahein sajaa do
merii har tamannaa javaan ho rahii hai
milo tum to mil jaaye saarii Khudaaii
tumharii muhabbat bahut yaad aaii