KhamUshi ka tO naam hota hai

KhamUshi ka tO naam hota hai 
warna yuuN bhi kalaam hota hai 

ishq ko poochta nahiN koi 
husn ka ehteraam hota hai 

aaNkh se aaNkh jab nahiN milti 
dil se dil hamkalaam hota hai 

husn ko sharmsaar karna hi 
ishq ka inteqaam hota hai 

Allah Allah, yeh naaz e husn Majaz* 
intezaar e salaam hota hai