muhabbat eik daldal hai
muhabbat eik aanchal hai
muhabbat ko jo samjha hai
haqeqat mein woh pagal hai
muhabbat eik sehra hai
muhabbat eik badal hai
ke is mein doob jaty hein
muhabbat eik sahil hai
muhabbat eik naghma hai
jissay sab gaa nahin sakty
muhabbat eik moti hai
jissay sab paa nahin sakty
muhabbat sab mita dalay
muhabbat sab luta dalay
muhabbat se bacha hai kya
muhabbat sab ganwa dalay
falak pe urnay walon ko
zameen per yeh gira dalay
muhabbat se bani dunya
muhabbat se saji dunya
muhabbat ne hi aadam ko
barein se farsh per dala
muhabbat aag mein kodi
to isko sard kar dala
muhabbat khud hi mujrim hai
muhabbat khud ki shahid hai
muhabbat aks banti hai
kabhi ghungroo pehan kar khud
muhabbat rask karti hai
muhabbat phol se nazuk
kabhi pathar yeh banti hai
muhabbat kal bhi hai lakin
muhabbat aaj banti hai
muhabbat had se badti hai
shab-e-miraj banti hai
muhabbat eik aanchal hai
muhabbat ko jo samjha hai
haqeqat mein woh pagal hai
muhabbat eik sehra hai
muhabbat eik badal hai
ke is mein doob jaty hein
muhabbat eik sahil hai
muhabbat eik naghma hai
jissay sab gaa nahin sakty
muhabbat eik moti hai
jissay sab paa nahin sakty
muhabbat sab mita dalay
muhabbat sab luta dalay
muhabbat se bacha hai kya
muhabbat sab ganwa dalay
falak pe urnay walon ko
zameen per yeh gira dalay
muhabbat se bani dunya
muhabbat se saji dunya
muhabbat ne hi aadam ko
barein se farsh per dala
muhabbat aag mein kodi
to isko sard kar dala
muhabbat khud hi mujrim hai
muhabbat khud ki shahid hai
muhabbat aks banti hai
kabhi ghungroo pehan kar khud
muhabbat rask karti hai
muhabbat phol se nazuk
kabhi pathar yeh banti hai
muhabbat kal bhi hai lakin
muhabbat aaj banti hai
muhabbat had se badti hai
shab-e-miraj banti hai