Woh kehta hai

Woh kehta hai 
ke uss ko ishq hai 
mujh say....
agar yeh ishq hai 
tau kiyooN bhala 
hota hai iss tarah
zara si ikk Ghalat fehmi say
kiyooN uss kay rawayyay maiN
ajab ikk ajnabiyat si
ajab begaangi si 
jaisay darr aaye
zara say iKhtalaaf e raaey per
unn mehrbaaN aankhoN maiN 
kaisi sard mehri si uttar aaye
ke jo nass nass maiN mairi
jaisay koi barf si bhar day
zara si dair maiN goya 
woh mujh ko be-amaaN ker day 
Agar yeh ishq hai 
tau kiyooN bhala 
hota hai iss tarah ????