Tere jalave ab mujhe har suu nazar aane lage


Tere jalave ab mujhe har suu nazar aane lage 
kaash ye bhii ho ke mujh men tuu nazar aane lage

ibtadaa ye thii ke dekhii thii Khushii kii ek jhalak 
intahaa ye hai ke Gham har suu nazar aane lage

beqaraarii badhate badhate dil kii fitarat ban gaii
shaayad ab taskiin kaa pahaluu nazar aane lage

Khatm karade ae 'Sabaa' ab shaam-e-Gham kii daastaan 
dekh un aankhon men bhii aansuu nazar aane lage