khawab lamhee mein hai dil essa giriftar ab tak

khawab lamhee mein hai dil essa girftar ab tak
dil mein larzan hai tera shola-e-rukhsar ab tak

bhed kuch aur her eik bhed ke pechay thay chupay
hum pe yeh khul paye kahaan ishq ke israr ab tak

aankhein pathra gaein .....darwaze pe rakhe rakhe
kya yeh dunya hai....teri rah ki dewar ab tak

umar bhar sahty rahe jin ke sitam,ya wahshat
hum inhi hein rahe kaise tarafdar ab tak

 kis sahulat se issay hum ne bhula dala tha
chubtat hein roh mein per,yaadon ke woh khar ab tak

apni iqdar ko.... jo dil se laga kar rakhein
hein zamane mein...kai  loog wazadar ab tak

tab nazargi essi thi kahaan,kherat-e-ishq
kaise dekha tha essay,dil hai gunnahgar ab tak