shola-e-rukh mast nazar yaad aaya

shola-e-rukh mast nazar yaad aaya
rashk khursheed ko qamar yaad aaya

ashq aankhon se chalakte hi rahe
jab kabhi woh gultar yaad aaya

barq chamki to nasheman dekha
shaakh tooti to samar yaad aaya

chand ki simto jo dekha zeya
anpe armaan ka safar yaad aaya ...!!!