Skip to main content

chiraaGh-e-zindagii hogaa farozaaN, ham nahiiN honge

chiraaGh-e-zindagii hogaa farozaaN, ham nahiiN honge
chaman meN aayegii fasl-e-bahaaraaN, ham nahiiN honge

javaano! ab tumhaare haath meN taqdir-e-aalam hai
tumhiiN hoge faroGh-e-bazm-e-imkaaN, ham nahiiN honge

hamaare Duubne ke baad ubhrenge naye taare
jabiin-e-dahar par chhiTkegii afshaaN, ham nahiiN honge

na thaa apnii hii qismat meN tuluu-e-meher ka jalvaa
sahar ho jaayegii shaam-e-GariibaaN, ham nahiiN honge

kahiiN hamko dikhaa do ek kiran hi TimTimaati sii
ki jis din jagmagaayega shabistaaN, ham nahiiN honge

hamaare baad hii Khuun-e-shahiidaaN rang laayegaa
yahii surKhii banegii zeb-e-unvaaN, ham nahiiN honge

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng