Skip to main content

Baat thi mohabbat ki,

Baat thi mohabbat ki,
Umar bhar ki chahat ki,
Bheer mein zamane ki
Sath sath chalna tha,

Imtehan bhi aane thay,
Zindagi ke sab hi pal
Sath hi bitane they.

Jane tum ne kia socha?
Sirf aik pal mein he,
Baat khatam kar dali.
Zindagi jo poori thi,
Wo adhori kar dali.

Kon tumko samjhaye?
Chahton Ke Mausam bhi,
Roz to nahi aate !

Zindagi mein apnon ko
Chor to nahi jate !

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.