
Ye Jo Sargashta Se Phirte Hain Kitaabon Waale
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waale
Ab Mah-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milne Wali
Aa Chuke Ab To Shab-o-Roz Azaabon Waale
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Bolte Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waale
Jo Dilon Per Hi Kabhi Naqab Zani Karte Thay
Ab Gharon Tak Chale Aaye Wo Naqaabon Waale
Zinda Rehne Ki Tamanna Ho To Ho Jaate Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Uqaabon Waale
Na Mere Zakham Khile Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hi Nahi Aaye Gulaabon Waale
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waale