Ye haqeeqat hai ki hotaa hai asar baatoN maiN

Ye haqeeqat hai ki hotaa hai asar baatoN maiN
Tum bhii khul jaaoge do-chaar mulaaqaatoN maiN


Tum se sadiyoN kii wafaaoN kaa koii naataa na thaa
Tum se milane kii lakeereN thii mere haathoN maiN


Tere waadoN ne hameN ghar se nikalane na diyaa
Log mausam kaa mazaa le gaye barasaatoN maiN


Ab na suuraj na sitaare na shamaaN na chaand
Apne zakhmoN kaa ujaalaa hai ghanii raatoN maiN