La haasili ka ishq mai charcha nahi kiya

La haasili ka ishq mai charcha nahi kiya
 dunya jo chahti thi tamasha nahi kiya

ham maslehat pasand thai barbaad ho gaye
 jo kuchh bhi jis tarah se bhi socha nahi kiya

zardar o be_nawa se kiya aik sa sulook
 dil ne koi lihaz kisi ka nahi kiya

kar k dikhai ham ne usey be_wafai bhi
 uss k husool k liye kya kya nahi kiya

manzar se hatt k kar diya aasa'n judai ko
 iss faisley mai bhi usey tanha nahi kiya

khush fehmio'n mai khoob guzar sakti thi magar
 ham ne khud apne aap se dhoka nahi kiya

yaad uski itni khoob nahi thi ba_kaul Meer
 lekin usey bhula k bhi accha nahi kiya