karb chehare se maah-o-saal kaa dhoyaa jaaye

karb chehare se maah-o-saal kaa dhoyaa jaaye
aaj fursat se kahii.n baiTh ke royaa jaaye


phir kissi nazm kii taamiid uThaa_ii jaaye
phir kisii jism ko lafzon me.n samoyaa jaaye


kuchh to ho raat kii sarhad me.n utarane kii sazaa
garm suuraj ko samundar me.n Duboyaa jaaye


itanii jaldii to badalate nahii.n ho.nge chehare
gard_aaluud hai.n aa_iine ko dhoyaa jaaye


maut se Khauf_zadaa jiine se bezaar hai.n log
is almiyaa pe ha.Nsaa jaaye ki royaajaaye