yahaaN kisii ko bhii kuchh hasb-e-aarzuu na milaa

yahaaN kisii ko bhii kuchh hasb-e-aarzuu na milaa
kisii ko ham na mile aur ham ko tuu na milaa

Ghizaal-e-ashk sar-e-subah duub-e-miZhgaaN par
kab apnii aaNkh khulii aur lahuu lahuu na milaa

chamakte chaaNd bhii the shahar-e-shab ke aivaaN meN
nigaar-e-Gham saa magar koii shamaa-ruu na milaa

unhii kii ramz chalii hai galii galii meN yahaaN
jinheN idhar se kabhii izn-e-guftguu na milaa

phir aaj mai-kada-e-dil se lauT aaye haiN
phir aaj ham ko Thikaane ka subuu na milaa