Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahee Milti

Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahee Milti
 Lamhon Mein Tou Sadyon Ki Kahaani Nahee Milti

Dil Jal Gayaa Ab Os Mein Dhuwaan Tak Nahee Uthta
 Os Raakh Se Tasweer Puraani Nahee Milti

Izhaar Pe Taalay Hain Tou Taalay Hee Samajhna
 Har Likhi Howi Baat Zabaani Nahee Milti

 Socha Tha Kisi Shaam Suhaani Ko Milain Ge
 Aur Shaam Hamain Koi Suhaani Nahee Milti

Kaisay Mein Yaqeen Os Ka Karuun Os Mein Tou Ek Bhee
 Chaahat Ke Qabilay Ki Nishaani Nahee Milti