shaam-e-firaaq ab na puuchh aaii aur aake Tal gaii

shaam-e-firaaq ab na puuchh aaii aur aake Tal gaii
dil thaa ke phir bahal gayaa, jaa.N thii ke phir sambhal gaii


bazm-e-Khayaal me.n tere husn kii shamaa jal gaii
dard kaa chaa.Nd bujh gayaa, hijr kii raat Dhal gaii


  jab tujhe yaad kar liyaa, subha mahak mahak uThii
jab teraa Gam jagaa liyaa, raat machal machal gaii


  dil se to har muaamalaa karake chale the saaf ham
kahane me.n unake saamane baat badal badal gaii


  aaKhir-e-shab ke hamasafar 'Faiz' na jaane kyaa hue
rah gaii kis jagah sabaa, subha kidhar nikal gaii