merii vafaayeN yaad karoge




merii vafaayeN yaad karoge
ro'oge, faryaad karoge

mujhko to barbaad kiyaa hai
aur kise barbaad karoge

ham bhii haNsenge tum par ek din
tum bhii kabhii faryaad karoge

mahfil kii mahfil hai GamgiiN
kis kis kaa dil shaad karoge

dushman tak ko bhuul gaye ho
mujhko tum kyaa yaad karoge

khatm huii dushnaam-taraazii
yaa kuchh aur irshaad karoge

jaa kar bhii naashaad kiyaa thaa
aa kar bhii naashaad karoge

chhoDo bhii Tasiir kii baateN
kab tak us ko yaad karoge