Mai.n ne dekhaa diivaano.n ko shaam ke baad

Mai.n ne dekhaa diivaano.n ko shaam ke baad
dhuu.ndh rahe the viiraano.n ko shaam ke baad


taariikii phir saare aib chhupaa legii
le aanaa ghar mahamaano.n ko shaam ke baad


mai.n ne us kaa sog manayaa kuchh aisaa
khaalii rakhaa paimaano.n ko shaam ke baad …

yaad kare jab mujh ko terii tanhaa_ii
dekhaa karanaa gul_daano.n ko shaam ke baad


"farhat" chaa.nd ke khauf se kar letaa huu.n band
kamare ke raushan_daano.n ko shaam ke baad …