Lakh doori ho magar ehand nibhatay rehna

Lakh doori ho magar ehand nibhatay rehna
 Jab bhi barish ho maira soog manatay rehna

 Tum gaye ho to sar-e-shaam yeh adat thehri
 Bas kinaray pay kharay hath hilatay rehna

 Janay iss dil koi yeh aadaab kahan say aye
 Uss ki raahon main nigahon ko bichatay rehna

 Aik mudat say yeh maamool howa hai ab to
 Aap hi roothna aur aap hi manatay rehna

 Tum ko maaloom hai farhat, yeh pagal pan hai
 Door jatay howay logon ko bulatay rehna