khuda se teg,ilm jis ko mustafa se mila
mughe to ilm ussi banda-e-khuda se mila
gira tha farsh-e-aza per jo ashk ankhon se
humein woh hashar mein romal-e-sayyida se mila
gai jo seerat-e-ansar shah-e-din pe nazar
baqa ka raasta ja ker na phir fana se mila
jo chahta hai dua rab ke ro-baro puhanche
dua ko matam-e-shabbir ki sada se mila
qalam ko teg banana hasan se sikh liya
wafa ka dars shaheedan karbala se mila
adab,shaur,tamaddun,sakafat-o-mazhab
mila hai jis ko bhi woh majlis-e-aza se mila
naseeb dekhiye islam ke jazane ko
kafan mila bhi to zainab teri rida se mila