Khaatir se ya lihaz se maiN maan to gaya

Khaatir se ya lihaz se maiN maan to gaya
 jhhooTi qasam se aap ka imaan to gaya

dil le ke muft kehte haiN kuch kaam ka nahiN
 ulTi shikaayateiN huiiN, ehsaan to gaya

Darta huN dekh kar dil-e-be_aarzoo ko maiN
 sunsan ghar yeh kyoN na ho, mehman to gaya

kya aye, raHat aayi jo kunj-e-mazaar meiN
 woh walwala woh shauq wo armaan to gaya

dekha hai butkaday meiN jo ai shaiKh kuchh na poochh
 iimaan ki to yeh hai ke iimaan to gaya

afshaa-e-raaz-e-ishq meiN go zillateiN huiN
 lekin usay jataa to diya, jaan to gaya

go naamabar se Khush na huwa, par hazaar shukr
 mujh ko woh mere naam se pehchaan to gaya

bazm-e-a'duu meiN soorat-e-parwaana dil mira
 go rashk se jalaa, tire qurbaan to gaya

hosh-o-hawaas-o-taab-o-tawaaN DaaGh jaa chukay
 ab hum bhi jaane waale haiN, saamaan to gaya