guldan-e-manqabat mein saje jo gulab hain

guldan-e-manqabat mein saje jo gulab hain
sab nazr-e-bargah-e-risalat-maab hain

kuin ker na tehniyat doon khuda ke rasool ko
tabeer mein dhale huwe sab in ke khuwab hain

quran manqabat ki yeh tafseer se khuda
sab madh khuwan batool ke izzat maab hain

kausar ko ajj maani kausar ata huwe
sajde mere rasool ke sab mustahibat hain

lori suna rahi hain hasan aur hussain ko
zehra shareek kaar risalat-maab hain

elaan in-nama ka hia zehra ke baab mein
ik lafz mein chupi huwi poori kitab hain