Din

Din
dhalte suraj ne kaha raat ki tareeki se
hoti hai qadr roshini ki Roshini k baad .
Raat
main ne mana tu zindagi hai main sakoot magr
hoti hai jugnu'on ki subha Roshini k baad
Din
tere aatay hi thehr jata hai dunya ka safar
hoti hai zindagi ki subha Roshini ke baad.
Raat
tu zindagi hai tera kaam safar karna hai
hoti hai pursakoon fiza Roshini ke baad.
Din
tu gar kitna bhi kahe tujh ko bhi chahat hai meri.
jalte hain mundairon pe diye Roshini ke baad.
Raat
mujh se kia taluq jalte huye chiraaghon ka
jalte hain gar wo bhi tu yahan Roshini ke baad .
Din
Meri chahat main to shamil hai khuda ki chahat
karte hain parinday bhi dua Roshini ke baad.
Raat
tere chahat main kia shamil hai khuda ki chahat.
milte hain Mustafa say Khuda Roshini ke baad.
Din
main ne mana tere mairaj hey, mairaj-e-Mustafa lekin
latay hain woh tashreef-e-jahan Roshini ke baad.

inheen batoon main achanak yeh din gharoob hua
kon janay hai yahan kis ki qadr Roshini ke baaddd....