aaj kii shaam hai kis darja hasiiN, kitnii udaas

aaj kii shaam hai kis darja hasiiN, kitnii udaas
ho bharii bazm meN tanhaaii ka jaise ehsaas

uThne hii vaala hai phir kyaa koii tuufaaN nayaa
phir tabiat huii jaati hai zyaada hassaas

aaj kyuuN unmeN nahiiN jurrat-e-taaziir ki ham
muntazir kab se khaRe haiN rasan-o-daar ke paas

unse nazreN jo milaaiiN to khataa-vaar haiN ham
aur agar bazm se uTh jaayeN to naa-qadr shinaas

dil laraztaa hai ki voh vaqt na aaye Wamiq
Gham meN hone lage jab lazzat-e-gham ka ehsaas