Ye karen ya wo karen aisa karen vaisa karen

Ye karen ya wo karen aisa karen vaisa karen
zindagi do din ke hai do din mein hum kya kya karen

jee mein aata hai ki den parde se parde ka javab
hum se wo parda karen duniya se hum parda karen

sun raha hun kuch lutere aa gaye hain shahar mein
aap jaldi band apne ghar ka daravaza karen

is purani bevafa duniya ka rona kab talak
aaiye mil-jhul ke ik duniya nai paida karen