Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye

Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye
us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye


khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye
shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye



tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye



mujh ko jinhone qatl kiya  hai  koi  unhen batalaye
meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye