wo anjuman mein raat badi shan se gaye

wo anjuman mein raat badi shan se gaye
iman cheez kya thi kai jan se gaye


main to chupa hua tha hazaron naqab mein
lekin akele dekh ke pehchan se gaye


wo shama ban ke khud hi akele jala kiya
paravane kal ke raat pareshan se gaye


aaya tera salam na aaya hai khat koi
hum aakhiri safar ke bhi saman se gaye


“rahi” jinhen khuda bhi na samajha saka kabhi
baithe bithaye dekh lo ab man se gaye