Tere jalave ab mujhe har su nazar aane lage

Tere jalave ab mujhe har su nazar aane lage
 kash ye bhi ho ke mujh mein tu nazar aane lage

 ibtada ye thi ke dekhi thi khushi ke ek jhalak
 intaha ye hai ke gham har su nazar aane lage

 beqarari badhate badhate dil ke fitarat ban gai
 shayad ab taskin ka pehlu nazar aane lage

 khatm karade ae ‘saba’ ab sham-e-gam ke dastan
 dekh un aankhon mein bhi aansu nazar aane lage