Saat Suron ka behta darya Teray Naam




Saat Suron ka behta darya Teray Naam
 Her Sur main ek rang dhanak ka Teray Naam

Jungle jungle ronay walay sab mosam
 Aur hawa ka sabz dupatta Teray Naam

HIJR ki sham akyli raat k khali dar
 Sobh-e-firaq ka zard ujala Teray Naam

Tery bina jo umer bitai beet gaye
 Ab is umer ka baqi hissa Teray Naam

Jitnay khoa'ab khuda nay meray naam likhay
 In khoa'abon ka resha rehsa Teray Naam