Mera dard kaisay wo janta

Mera dard kaisay wo janta
 Meri baat kaisay wo manta

Wo to khud fana k safar pe tha
 Usay rokna bhi mahaal tha

Kahan jaogay mujhe chor kar
Main ye poch poch k thak gaya

Wo jawab mujhko na de saka
 Wo to khud sarapa sawal tha

Dam-e-wapsi usay kya hua
Na wo roshni na wo tazgi

Wo sitara kaisay bikhar gaya
 Wo jo aap apni misaal tha

Wo mila to sadyon k baad bhi
 Meray lab pe koi gila na tha

Usay meri chup ne rula dia
 Jisay guftugu main kamal tha