Marti hoi zameen ko bachaana parra mujhay.

Marti hoi zameen ko bachaana parra mujhay.
Baadal ki tarah dasht pe aana parra mujhay.




Woh ker naheen raha tha mairi baat ka yaqeen.
Phir yoon hua k mar k dikhhana parra mujhay.




Bhoolay se mairi simt koi daikhhta na tha.
Chehray pe aik zakhm lagaana parra mujhay.




Us ajnabi se haath milaanay k waastay.
Mehfil mein se se haath milaana parra mujhay.




Yaadain theen dafan aisi k bad-az-farokht bhi.
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay.



Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar.
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay.



Aisay bicharr k us nae  to mar jaana tha hasan.
Us ki nazar me khud ko giraana parra mujhay.
!!