Laa-haq Hai Yahan Marz Muhabbat Ka Sabhi Ko
Is Shehr K Logo Me Wabaa Aam Bohat Hai
Had Darja Sharafat Ka Orha Hai Libada
Aur Dil Me Haqaarat Ki Balaa Aam Bohat Hai
Rishton Ka Yahan Paas To Rakhty Hain Sabhi Pr
Hairat Hai K Lut'ny Ki Sadaa Aam Bohat Hai
Daawa Hai K Hr Fard Wafadaar Yahan Hai
Hai Darj Kitaabon Me Jafa Aam Bohat Hai
Tum Neki ki Tamannaain Bohat Rakhty Ho
Is Shehr Me Neki Ki Sazaa Aam Bohat Hai
