kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota hai

kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota hai
ab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai


aagaz-e-musibat hota hai apne hi dil ke shararat se
aankhon mein phul khilata hai talavon mein kanten bota hai


ahabab ka shikwa kya kijiye khud zahir va batin ek nahi
lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai


mALLAHon ko ilzam na do tum sahil wale kya janon
ye tufan kon uthta hai ye kishti kon dubota hai


kya jane kya ye khoyega kya jane kya ye payega
mandir ka pujari jagata hai masjid ka namazi sota hai