Kuch faisala to ho ki kidhar jana chahiye

Kuch faisala to ho ki kidhar jana chahiye
Pani ko ab to sar se guzar jana chahiye


Har bar eriyon pe gira hai mera lahu
Maqtal mein ab ba-tarz-e-digar jana chahiye


Kya chal sakenge jin ka faqat mas`la ye hai
Jane se pahale rakht-e-safar jana chahiye


Sara jwar-bhata mere dil mein hai magar
Ilzam ye bhi chand ke sar jana chahiye


Jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi
Akhir ko kitani der se ghar jana chahiye


Tohamat laga ke man pe jo dushman se dad le
Aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye