kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay
apni aankhon say bhi mein zakhm chhupaao apnay
mein tou qaim hon tere gham ki badolat warna
yun bikhar jaoon k khud hath nah aon apnay
sher logon kay bohat yaad hain ouron kay liye
tou milay tou mein tujhay sher sunaoun apnay
sochta hon k bujha duun mein yeh kamray ka diya
apnay sayay ko bhi kiyon sath jagaon apnay
is ki talwar ne woh chaal chali hai aisi
paon katete hain agar hath bachaoo apnay
